Allah Ta'Aala Ko Allah Miya

Kehna Kaisa Hai ?

.....................................
  Galat  Mas'Ala  
××××××××××××××××××
Baaz (Kuch) Log Dauran e Guftagu (Baat Karne K Beech) 
Allah Ta'Aala K Liye Allah Miya Ka Lafz
 Istemal Karte Hain
Ye Logo Ki Jehalat Hai

....................................
     Sahi Mas'Ala     
√√√√√√√√√√√√√√√√√√√√
Sahi Mas'ala Ye Hai K Lafz Miya Ka
 Zaat e Baari Ta'Aala Par Itlaq
(Allah K Liye Istemal) 
Karna Jayaz Nahi..

    Kyun K Urdu Zuban Me 
Lafz Miya K 
3 Ma'ana (Matlab) Hain
In Me Se 2 Ayse Ma'ana Hain
 Jinse Shan e Al'Wahiyyat 
(Allah Ki Shan)
Paak o Munazzah Hai,
Aur 
1 Ma'ana Aysa Hai Jo Sidq (Sahi) Hai...

Jab Ye Lafz Do Khabis Ma'ano (Matab Ki Jama)
Aur Ek Achche Ma'ana Par Mushtarak (Banta Hua) Thehra Aur Shari'at Me Warid Nahi To Zaat e Baari (Allah) Par Iska Itlaq (Istemal) Mamnu (Mana) Hoga...

Lafz MIYA Ka Ek (1) Ma'ana Hai Maula.
AUR Allah Ta'Aala Beshaq Maula Hai...

Dusra (2) Ma'ana Shauhar 
Aur 
Tisra (3) Ma'ana Zina Ka Dalal Hota Hai,

Is Liye Allah Rabbul'izzat K Liy Allah Miya Ka Lafz Istemal Na Karen.
Ye Hargiz Jayaz Nahi....
Balke Zaat e Baari Ta'Aala K Liye
Allah Ta'Aala 
Allah Tabarak'Ta'Aala 
Rabbe Kaynat.
 YA
 Rabb e ZulJalal 
 Jalla'Jalaluhu
istemal Karen.
...................................
..  Book  .. 
...........................................
AL MALFUZ SHARIF 
Hissa Awwal Safa 101

Post a Comment

 
Top